Wednesday, August 13, 2014

Sune Jo Dil Tera...



Jo yeh khamosh ankhien kehti hai, sune jo dil tera.. 
bade qaside hai in simte, gehre, bealfaz ashkon ki gazal mein, sune jo dil tera...

Jo band gallion ke unche chobaron se,  
kuch bedhange harfon ke jhundn mein, betarteeb harf nikale hai...
Yeh bhi ek kahani hai, sunne jo dil tera...

mere nazmo ke matle marhale se dardon ka rishta hai
yuhi baith harfon ko tarteeb se alfaz banaya tha 
safed saffon pe padi in kali lakiron se main bhi koi ishaar karu, sunne jo dil tera...

Woh manzar bhi aur tha, woh log bhi aur the, woh karahe bhi aur thi, 
aaj sana'ta bhi ik dastaan likhe, kahdu, rakhe jo honsla dil tera...
Yeh khali rahein bhi bahut kisse liye khadi hai, sune jo dil tera... 

ab mushkil hai us aangan mein fir se lumbi kehkahe lagana,
jise bachpan mein yaar-o-khaloos mana tha, aaj woh nazarien hataye khada hai…
usse yaad hai gazal humari magar, woh alfazon ko uljhaye khada hai… 
fir bhi aahon mein ek si bandish hai, sunne jo dil tera...

Yeh khamosh si aankhien bahut Kuch kehti hai, sune jo dil tera....