Thursday, March 1, 2012

safeer

yuh kab tak dekhe lutti hui jamhuriyat ka nazara,

is dil main jo tees uthi hai, use kyon bagawat ka ilzam dete ho.

Bahut roye hai sitamgar, is raat ke aate aate…

Ab jo in siskiyon main, ik aajeeb sa darija-e-nasha jo dekte ho…

yeh khyal lata hai, na sone payega sitamgar ab sohba aate aate…

Ek ajeeb sa rishta hogya tha in ashkon se…

Na thehre the maa ke pehlu se, na mere hichkiyon se inhe talkhi thi…

Sukha diye hai, darta hu ke sailaab ayega bagawat hote hote

Ab jo utha hu is ulfat-e-dard ke payban se

Har jwaab aagya hai mere honto par, tere swaal aatee aate…

ulfat-e-aah

Is jad-o-jehad main hum zafar-e-zindagi dekhte hai…

Yu koi apane zakhmo ko sehlata nahi…

Hum bhi ek umarse siskiya lete aye hai…

Ab yeh jo tumne mauj-e-rukhsar dekha hai, yeh nazar ka dokha nahi,

uthe hai hum ab is maashuq-e-dard ke pehlu se

ab uske sehlane se ye sailab behalta nahi…

Nazaar aata hai kshitij ke paar hi mausam-e-ulfat

Is umeed-e-umeed main, utha liya hai humne bhi saman-e-safar, ab ye hasal hone ko…

Kya likhu is khamosh kagaz per, ab sohab hone tak yeh zehan thehrta nahi…

Baad mudat ke aya hai mere seene main bhi ik zor…

Ab main nahi karta, intzaar subhah ke aftab ka…

Yeh yakin hai mera, yeh shab hui hai zanda tere liye, meeri raat abse itni siya nahi

Fateh na hone paye gi teri, aye Zahhak… mudat ke baad bhi main Kaveh ko bhula nahi…