Thursday, March 1, 2012

ulfat-e-aah

Is jad-o-jehad main hum zafar-e-zindagi dekhte hai…

Yu koi apane zakhmo ko sehlata nahi…

Hum bhi ek umarse siskiya lete aye hai…

Ab yeh jo tumne mauj-e-rukhsar dekha hai, yeh nazar ka dokha nahi,

uthe hai hum ab is maashuq-e-dard ke pehlu se

ab uske sehlane se ye sailab behalta nahi…

Nazaar aata hai kshitij ke paar hi mausam-e-ulfat

Is umeed-e-umeed main, utha liya hai humne bhi saman-e-safar, ab ye hasal hone ko…

Kya likhu is khamosh kagaz per, ab sohab hone tak yeh zehan thehrta nahi…

Baad mudat ke aya hai mere seene main bhi ik zor…

Ab main nahi karta, intzaar subhah ke aftab ka…

Yeh yakin hai mera, yeh shab hui hai zanda tere liye, meeri raat abse itni siya nahi

Fateh na hone paye gi teri, aye Zahhak… mudat ke baad bhi main Kaveh ko bhula nahi…

No comments:

Post a Comment