Tuesday, November 25, 2014

Tu humnawa hai ke nahin...

chupi chupi si tarz, bus yuhi lafson mein tera naam pade...
aye humsafar tu keh, tu humnawa hai ke nahin...
Mujhse kon puche is behte hue neer ka pata, 
aye mehram tu keh, tu ghum-ghussar hai ke nahin...

chupi chupi si tarz, bus yuhi lafson mein tera naam pade...
aye humsafar tu keh, tu humnawa hai ke nahin...

bade payban hai chupe, dil yu kanch ka makan to nahin
aye raazdaar tu keh, tu bhi dilgeer hai ke nahin... 
dhardkanon ka sauda na hua dard ke bazaar mein...
aye sitamgar tu keh, tu bhi beqarar hai ke nahin...

ruke ruke se kadam, yuhi tere saath saath chale,
aye humsafar tu keh, tu humnawa hai ke nahin...

ashkon ki zuban mein likha tha jabeen par sanson ka saaha.. 
aye talabgeer tu keh, tu ne harfon ko joda ke nahin... 
fajr ko kab bhoola hai subho ka pata... 
aye saba tu keh, tujhe khud pe aitbaar hai ke nahin... 

ruke ruke se kadam, yuhi tere saath saath chale,
aye humsafar tu keh, tu humnawa hai ke nahin...

mere lafson ko khabar hai, shua'o ki awargi ka... 
aye hum-qafas tu keh, tu bhi pairokaar hai ke nahin
nazar uthe to chale rawangi berang kahin
aye mukhair tu keh, tu aashar hai ke nahin....  

No comments:

Post a Comment