Tuesday, January 14, 2014

khamosh bagawat



Aaj bhi meri aankhon ki naami sukhi nahi hai,
bus ek farq hai aah na chupane ka…

teri aankhon ke bharose hi, humne zafar-e-zindagi dekhi thi
Mayusi hai tere bhi naumeed hone pe,
Par humne bhula nahin hunar zakhmo ko sehlane ka…

Tere wadon ke sadake jo mauj-e-rukhsar aaya tha,
ab usse intezar nahi teri bewafai ke sadke ka…  
hum uthe the mashooq-e-dard ke pehlu se,
ab intezaar nahin hai is sailab ko tere sehlane ka…

Badi mudat ke baad in alfazon ne bagawat ki raah pakdi hai…
ab na dekhenge woh rasta un khamosh galiyon ka
kon reh payega tere reshmi kuchon mein,
humpe to ilzaam rahega bagawat karne ka…

hum yeh fiza bhi badalege, naya firaq bhi aaye ga,
ab siskiyon mein raat nahin guzarti, nahi rehta intzaar subah ke roshan hone ka…
jab nikale hain hum aaj fir se sadkon pe…
naya nizaam bhi aaye ga, hisaab bhi hoga un bedard shaamon ka…





follow for more updates: @anileshmahajan


No comments:

Post a Comment