Tuesday, January 28, 2014

tere jawab aate aate...


Hui muda'at main na hua samaeen faqa-e-jamhuriyat ka.
Meri har tees ko tum bagawa'at ka ilzaam dete ho
Aaj shor hai mehfil mein teri, mere aane se, ab kaise soyega tu sitamgar yeh raat aate aate...

Bus ab rok diya hai humne askhko, siskiyo, tanhaiyon ki mehfil mein tera qasida-e-taghazzul kehna,
Ab har dastoor badalega, har shaheen lautegi, ab yeh bebas fiza bhi badalegi, surkh sohaab aate aate...

Yeh daraj-e-nasha hai, manzil ke pehlu mein aane ka, ab fir mayusi se talkhi hai, ab shua'o ki ronak hai
Kyu na ho ulfat-e-dard se mohabbat, kyu ghum kare apno ke beza'ar hone ka, baade aayin badalte hai, is bagawa'at ke aate aate…

Ab hum maange ge hisab tere sit'am-o-girat ka, dena hoga jawab, koi mol nahi is sana'ta-e-khamoshi ka
Bade sawal aayenge mere hoton pe tere jawab aate aate... 

No comments:

Post a Comment